numud-e-sham jo tira-shabi bhi deti hai

numud-e-sham jo tira-shabi bhi deti hai
ba-ikhtitam-e-safar raushni bhi deti hai

ye baat ahl-e-khirad ki samajh mein aa na saki
junun ki be-khabari aagahi bhi deti hai

bahut hi khub hai yaro khulus-e-dil-daran
ajib azm magar bekasi bhi deti hai

sukut-e-saz mein aahang-e-dard-e-dil muzmar
sada-e-karb kabhi khamushi bhi deti hai

nishan-e-jada-e-manzil ba-rah-rawan-e-wafa
shab-e-siyah mein khud tirgi bhi deti hai

wo ek saad-e-simin wo ek mah-jabin
sukun-e-qalb ko aashuftagi bhi deti hai

ye kah rahi thi nasim-e-sahar kanar-e-furaat
zamin-e-qatl-e-wafa zindagi bhi deti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close