nur-e-mah-e-asmani aur hai

nur-e-mah-e-asmani aur hai
dagh-e-dil ki zau-fishani aur hai

jab kali koi khili aai sada
chand din ki zindagani aur hai

surkh aansu hain ye jam-e-chashm mein
ye sharab-e-arghawani aur hai

ishq mein tesha-zani chalti nahin
kohkan ye pahalwani aur hai

dair-o-kaba ke jahan parde nahin
wo makan-e-la-makani aur hai

ai falak tujh mein kahan tha ye shuur
us sitamgari ka bani aur hai

abr-e-baran mein kahan sailab ye
chashm-e-giryan ki rawani aur hai

zindagi jis se ki ho zer-o-zabar
wo nigah-e-dil-sitani aur hai

rah-e-ulfat mein jo ho jae shahid
wo hayat-e-jawedani aur hai

ek hain sab kafir-o-momin yahan
mai-kada ki hukmarani aur hai

shairi se uns-e-nahaq ho gaya
mera pesha khandani aur hai

aur bhi yun to sukhan-dan hain bahut
teri 'jauhar' khush-bayani aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close