pa-pyaada chalta hun be-irada chalta hun thak na jaun is liye main ziyaada chalta hun chashm-kor basti mein be-libaada chalta hun raste hairat karte hain itna sada chalta hun ho na jaun pura main aadha aadha chalta hun muflisi mein kar ke main dil kushada chalta hun 'afzal' aas ke raste par be-murada chalta hun