paband har jafa pe tumhaari wafa ke hain rahm ai buto ki hum bhi to bande khuda ke hain gulchin bahaar-e-gul mein na kar mana sair-e-bagh kya hum ghubar daman-e-baad-e-saba ke hain ye sada-ru jo saf nahin rahte sham-e-wasl aashiq ghubar daman-e-subh-e-khafa ke hain jis ko yaqin baqa ka ho waiz teri sune hum log mast baada-e-jam-e-fana ke hain ai 'mehr' tab-e-barq ne betab dil kiya mazmun chamak-damak ke qawafi bala ke hain