paD gae kyon mere pichhe hain ajab ustad ji

pad gae kyon mere pichhe hain ajab ustad ji
aa gae tashih karne be-sabab ustad ji

chand chehre ko ghata zulfon ko kahte hain meri
sare tharki aashiqon mein hain ghazab ustad ji

matla se maqta talak sari ghazal tharra uthe
aaen jab mujh ko sikhane sheri dhab ustad ji

un ko batla do jalana padta hai khun-e-jigar
yunhi ban jate nahin hain sab ke sab ustad ji

ji mein aata hai ki main sar phod lun diwar se
apne hi ashaar likhwate hain jab ustad ji

koi to aa kar nikale un ke changul se mujhe
mujh ko pagal kar rahe hain roz-o-shab ustad ji

ehtiram un ka hai wajib mujh pe lekin kya kahun
mujh si ahqar ke liye hain be-adab ustad ji

jaane kab mil jae mujh se bhi zahin ek shaera
mujh ko tanha chhod jaen jaane kab ustad ji

sach kahun assi ke pithe mein bhi lagte hain jawan
hain hasinon mein hi kyon phir jaan-ba-lab ustad ji

han magar kuchh dost aise hain bahut dil ke qarin
jin se mil kar yun lage hai sirf rab ustad ji

jab se likhi hai ghazal 'sima' khafa hain jaane kyon
dar hai raazi ho na jaen phir se ab ustad ji


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close