padi wo zad ki nigahon ka hausla tuta tumhaare aks ki jhilmil se aaina tuta zamin shaq hui aankhon mein bhar gaya suraj hamare sar pe achanak wo hadisa tuta gajar ka shor azan ki pukar kya kahiye khuda se mere takallum ka silsila tuta hamari fikr had-e-asman se aage thi magar kabhi na riwayat se wasta tuta taghayyuraat ki rau kab ruki hai roke se har ek daur mein lamhon ka zawiya tuta