pahad hone ka sara ghurur kanp utha bas ek zara si tajalli se tur kanp utha hawa ne jaise hi tewar dikhae hain apne nikal raha tha diye se jo nur kanp utha padhi jo jabr-o-tashaddud ki dastan kahin kabhi shuur kabhi la-shuur kanp utha labon pe aa na saki apne dil ki ek bhi baat ki jab bhi pahuncha main us ke huzur kanp utha saza kuchh aisi mili ek be-qusur ko aaj hua tha asl mein jis se qusur kanp utha