pahad sahra nadi ne hamein talash kiya hamare baad sabhi ne hamein talash kiya kaha tha hum ne tumhein kab hamein talash karo tumhaari apni kami ne hamein talash kiya kisi ne nam kisi ne wajud dhunda hai zara zara sa sabhi ne hamein talash kiya talasha pahle khushi ko jagah jagah hum ne phir is ke baad khushi ne hamein talash kiya hamari hasti mein kuchh aisa hai ki jis ke sabab tamam umr sabhi ne hamein talash kiya