pahadi raste par aabju ki aazmaish hai samundar kis taraf hai justuju ki aazmaish hai pare diwar-e-jaan ke ek dhoke ke siwa kiya hai mere andar musalsal aarzu ki aazmaish hai kai lahren si uthti hain jo lafzon mein nahin dhaltin in aankhon ke muqabil guftugu ki aazmaish hai main apne dil ki khamoshi tujhe email karta hun suna hai mai-kade mein ha-o-hu ki aazmaish hai tayyun samt ka hota nahin aankhen bhatakti hain qadam kaise uthen jab chaar-su ki aazmaish hai