pahan ke ujli si poshak chala jata hai kaun ye shakhs tah-e-khak chala jata hai kahin pichhe rahe jate hain sabhi arz-o-sama aage aage mera idrak chala jata hai ab to wo meri mohabbat ka bhi maqruz nahin jaane kis waste namnak chala jata hai kaun ja sakta hai wan tak pa agar ho mahbub wo sar-e-arsh bhi bebak chala jata hai sanp hi sanp lipatte hain jahan pairon se aise raston pe bhala khak chala jata hai