pahle har lafz toliye sahib

pahle har lafz toliye sahib
phir zaban apni kholiye sahib

kuchh to hamraaz ka bharam rakhiye
band mutthi na kholiye sahib

shakhsiyat ka lihaz to rakhiye
narm lahje se boliye sahib

mere saghar mein aks-e-jalwa hai
dekh kar zahr gholiye sahib

kho na jae kahin waqar apna
be-zarurat na boliye sahib

band kije zaban chup rahiye
aur aage na boliye sahib

jo 'ziya' ko charagh-pa kar de
wo sahifa na kholiye sahab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close