pahle hi bar-e-dosh hain sar bhi gae to kya jaanan hum apni jaan se guzar bhi gae to kya jina mataa-e-khwesh na marna ata-e-ghair jite rahe to kya hai jo mar bhi gae to kya dil khun hai ek tark-e-mohabbat ke dagh se ruswaiyon ke dagh utar bhi gae to kya mitti mein eatibar-e-numu dhundhta hun main baadal hawa ke sath bikhar bhi gae to kya shabnam se apni pyas bujhati hain khetiyan dariya samundaron mein utar bhi gae to kya tughyaniyon ki zad mein thikane sabhi ke hain kashti dubo ke par utar bhi gae to kya ghar mein tha ehtiyaj ka daftar khula hua daftar ki khak chhan ke ghar bhi gae to kya