pahle sabit karen is wahshi ki taqsiren do kyun mere panw mein pahnate hain zanjiren do donon zulfon ka teri aaya jo wahshat mein khayal pad gain panw mein mere wahin zanjiren do kahan qasid ne ki laya hun main paigham-e-visal aaj khilat mujhe pahnao ki jagiren do dard-e-dil dard hua sina ki sozish bhi gai sharbat-e-wasl mein tere hain ye tasiren do ya bahane se bulaen use ya khat hi likhen 'sharm' kya khub ye sujhin hamein tadbiren do