pahle to dastan mukammal dikha koi

By
pahle to dastan mukammal dikha koi
phir ek se hi kya ho musalsal dikha koi

tuta hai aaj aaj jo is ko main ro to lun
ai zindagi tu khwab naya kal dikha koi

kya hain musibaten ye batane ka shukriya
ab ye batao in ka tumhein hal dikha koi

wo haal-e-dil suna ke mujhe roya der tak
jab main ne bas kaha tha ki jangal dikha koi

mujh ko bhi gham se nam kamana sikha zara
jo sha'iri ke reel hain wiral dikha koi

duniya jahan ko chhan liya hai magar kahin
'fani' tumhaare jaisa na pagal dikha koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close