pahli kiran ke war se pahle ki baat thi

pahli kiran ke war se pahle ki baat thi
dukh subh-e-zar-nigar se pahle ki baat thi

aankhen bachi kahan hain ki ye log dekh paen
binai is ghubar se pahle ki baat thi

har samt main hun aur mere hone ki hai khabar
duniya visal-e-yar se pahle ki baat thi

sun lafz-e-intizar hai aslan sada-e-kun
tanhai intizar se pahle ki baat thi

hum hi the apna rog bhi apna ilaj bhi
ye ishq ke khumar se pahle ki baat thi

duniya thi hum pe bojh ki duniya pe bojh hum
ye baat dil pe bar se pahle ki baat thi

kohna udasiyon mein khile qahqahe the hum
ye dukh ke regzar se pahle ki baat thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close