pahunch gae to karenge idhar-udhar ki talash abhi to hai hamein un ki gali mein ghar ki talash hamare aib mein jis se madad mile hum ko hamein hai aaj-kal aise kisi hunar ki talash charagh le ke phira dhundhta hua ghar ghar shab-e-firaq jo mujh ko rahi sahar ki talash talash-e-yar mein kaam aa gae hami aakhir hamare kaam nahin aai umr bhar ki talash yunhi kabhi dur-e-mazmun mila nahin 'natiq' bahut se ghote khilati hai ek guhar ki talash