pahunche to mere gham ki sada tere shahar mein roegi tere sath ghata tere shahar mein aakhir meri duaon mein tasir kyon nahin kya so gaya hai mera khuda tere shahar mein ek fasla hai jab ki tere mere darmiyan main kya karungi aa ke bata tere shahar mein barf odh kar pahadon se utregi dhundne tujh ko udas udas hawa tere shahar mein tujh se mili to tut gaya umr bhar ka khwab ab main hun zindagi se juda tere shahar mein dharti pe jab bhi tapkega 'nasrin' ka lahu hogi lahu lahu si faza tere shahar mein