paida kiya hai udti hui khak se mujhe nisbat yahi hai sarsar-e-saffak se mujhe ab to asir-e-gardish-e-lail-o-nahaar hun muddat hui hai utre hue chaak se mujhe aaega koi kholega band-e-qaba-e-harf dega najat kaghzi poshak se mujhe duniya hai ishwa-saz to main hun makin-e-zat khatra nahin hai is zan-e-bebak se mujhe par phadphada raha hun basirat ke dam mein koi chhudae qabza-e-idrak se mujhe rah jaegi lakir lahu ki zamin par le jaiye na bandh ke fitrak se mujhe mujh se zamin khauf-zada hai 'rafiq-raaz' ye jaanti hai rabt hai aflak se mujhe