paikan jigar-pasand hai KHanjar gulu-pasand

paikan jigar-pasand hai khanjar gulu-pasand
qatil mujhe qubul kare jis ko tu pasand

paikan ko zahr hi mein bujha le wo but kahin
hoga na tauf-e-ka'ba-e-dil be-wuzu pasand

pir-e-mughan ko dhundh liya khizr mil gae
hai mere muddaa ko meri justuju pasand

kahte hain arz-e-wasl-o-tamanna-e-qatl par
ye aarzu pasand na wo aarzu pasand

ya-rab giran ho qimat-e-dil-ha-e-ashiqan
ya kaudiyon ke mol bike chaar-su pasand

tha khud-pasandiyon pe mujhe naz kis liye
main tujh ko na-pasand raha mujh ko tu pasand

tere gale ka haar rahe kash dast-e-shauq
mazmun-e-wasl ko hai bayaz-e-gulu pasand

zahid ye apni apni pasand apni apni aankh
zarf-e-wazu tujhe mujhe jam-o-subu pasand

paikan pe jo jigar ho mujhe wo jigar qubul
mizhgan pe jo lahu ho mujhe wo lahu pasand

aabaadi-e-harim-e-dil-o-jaan hai jis ki yaad
wo khub-ru pasand hai wo khush-gulu pasand

ye shukr ka maqam hai ye fakhr ki jagah
'rasikh' se khud-pasand ko aaya hai tu pasand


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close