paikar-e-naz pe jab mauj-e-haya chalti thi qarya-e-jaan mein mohabbat ki hawa chalti thi un ke kuche se guzarta tha uthae hue sar jazba-e-ishq ke hamrah ana chalti thi ek zamana bhi chala sath to aage aage gard udati hui ek mauj-e-bala chalti thi parda-e-fikr pe har aan chamakte the nujum farsh ta arsh koi mah-liqa chalti thi main hi tanha na kharabon se guzarta tha 'naim' sham ta subh sitaron ki ziya chalti thi