pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza hote hain hum teri rah-e-mohabbat mein fana hote hain sharm kar sharm ki ai jazba-e-tasir-e-wafa tere hathon wo pashiman-e-jafa hote hain chhedti hai mujhe bebaki-e-khwahish kya kya jab kabhi hath wo paband-e-hina hote hain na asar aah mein kuchh hai na dua mein tasir tir hum jitne chalate hain khata hote hain ahl-e-dil sunte hain ek saz-e-mohabbat ki nawa hum teri yaad mein jab naghma-sara hote hain lazzat-e-dard na kyun ahl-e-hawas par ho haram ki wo kam-bakht talabgar-e-dawa hote hain kishwar-e-ishq mein duniya se nirala hai riwaj kaam jo ban na paden yan wo rawa hote hain hech hum samjhe do aalam ko to hairat kya hai rutbe ushshaq ke is se bhi siwa hote hain jism hota hai juda jaan se goya 'hasrat' aasman un se chhudata hai juda hote hain