pak hai lazzat-e-ishrat se zaban-e-waiz jo bala aae ilahi so ba-jaan-e-waiz ham-nafas bagh-e-jinan ghar hai gunahgaron ka dhundh dozakh mein kahin ja ke makan-e-waiz khidmat-e-rind qadah-nosh mein ye be-adabi ji mein hai katiye danton se zaban-e-waiz khud-faramosh hai kya aur ko samjhaega rast-bazon se kaji par hai guman-e-waiz kyun na ho tir-e-ishaaraat se aalam majruh qadd-e-kham-gashta hai goya ki kaman-e-waiz