palat jaana koi mushkil nahin tha mera hi wapsi ka dil nahin tha mata-e-zist la-hasil nahin tha wale pane ke main qabil nahin tha wo chhuriyan dhaar jis par ho rahin thin mera hi dil tha koi sil nahin tha khula bab-e-junun jab mujh pe yaro mera tab koi mustaqbil nahin tha mariz-e-ishq hone tak suna hai adhuri zat tha kaamil nahin tha mujhe gharqab tha az-had zaruri wagarna zist ke qabil nahin tha main pyasa tha magar honton se mahrum samundar tha magar sahil nahin tha na do ilzam bhaunre ko 'ali' tum wo hargiz phul ka qatil nahin tha