palkon pe tairte hue mahshar tamam-shud aankhen khulin to khwab ke manzar tamam-shud zinda hai bhuk aaj bhi ifrit ki tarah tir-o-tafang-o-lashkar-o-khanjar tamam-shud logo tum apne zarf se badh kar diya karo is bar zakhm bhar gae nashtar tamam-shud tahrir kar raha tha kahani junun ki main lekin khayal-o-fikr ka mehwar tamam-shud khud apna aks aainon mein dhundte hain log shisha-garon ke shahr mein paikar tamam-shud jab dhup odhe baithi ho ghurbat qatar mein samjho khudi ka aakhiri zewar tamam-shud 'zakir' rachi-basi koi sazish faza mein thi udne se peshtar mera shahpar tamam-shud