pani ko aag kah ke mukar jaana chahiye palkon pe ashk ban ke thahar jaana chahiye saut-o-sukhan ke daere tahlil ho gae qaus-e-nazar se dil mein utar jaana chahiye ehsas ki zaban ko lughat se nikal kar mani ki sarhadon se guzar jaana chahiye duniya ki wusaten hain ba-andaza-e-nazar ye dekhne ka kaam hai kar jaana chahiye tanha nazar pe kijiye kis dil se e'tibar dil ko bhi ta-ba-hadd-e-nazar jaana chahiye gham-ha-e-zindagi se na tha umr bhar faragh ab kuchh to zindagi ko sanwar jaana chahiye jaun kahan ki khud meri rahen safar mein hain rahen safar mein hon to kidhar jaana chahiye zanjir-e-makan hai jahan husn-e-la-makan us anjuman mein bar-e-digar jaana chahiye zamzam harim-kaba mein hai mamta ka dil hai shart-e-zist dub ke mar jaana chahiye jaan ho agar mata-e-talab se aziz-tar parwanon ko charagh se dar jaana chahiye yaro suna hai aap mein gum ho gaya 'zafar' is khanuman-kharab ke ghar jaana chahiye