parakh faza ki hawa ka jise hisab bhi hai wo shakhs sahab-e-fan bhi hai kaamyab bhi hai jo rup aai ko achchha lage wo apna len hamari shakhsiyat kanta bhi hai gulab bhi hai hamara khun ka rishta hai sarhadon ka nahin hamare khun mein ganga bhi hai chanab bhi hai hamara daur andheron ka daur hai lekin hamare daur ki mutthi mein aaftab bhi hai kisi gharib ki roti pe apna nam na likh kisi gharib ki roti mein inqilab bhi hai mera sawal koi aam sa sawal nahin mera sawal teri baat ka jawab bhi hai isi zamin par hain aakhiri qadam apne isi zamin mein boya hua shabab bhi hai