paraya lag raha tha jo wahi apna nikal aaya mera ek ajnabi se dur ka rishta nikal aaya abhi tak to teri yaaden meri miras thin lekin tasawwur mein kahan se ek naya chehra nikal aaya wo dariya hai ye kahne mein mujhe ab sharm aati hai mujhe sairab kya karta wo khud pyasa nikal aaya isi ummid par sab ashk mein ne sarf kar dale agar in motiyon mein ek bhi sachcha nikal aaya wo meri zindagi bhar ki kamai hi sahi lekin main kya karta wahi sikka agar khota nikal aaya mujhe us bazm mein yaad aa gain tanhaiyan apni main sab ko chhod ke us bazm se tanha nikal aaya mujhe chaaron taraf se manzilon ne gher rakkha tha yahan se bhi nikalne ka magar rasta nikal aaya andhera tha to ye sare shajar kitne akele the khuli jo dhup to har ped se saya nikal aaya