parbat parbat ghum chuka hun sahra sahra chhan raha hun har manzil ke haq mein lekin kafir ka iman raha hun tere dar par umr kati hai phir bhi kya anjaan raha hun duniya bhar ke sajdon mein apne sajde pahchan raha hun dur sunahre gumbad chamke lekin gardan kaun jhukae main to jannat bhi kho kar aazad-manash insan raha hun dekh meri anmol sharafat lut bhi gaya sharminda bhi hun jit bhi li ikhlas ki bazi haar bhi apni man raha hun