parinda hadd-e-nazar tak jo aasman mein hai

parinda hadd-e-nazar tak jo aasman mein hai
paron mein zor kahan hausla udan mein hai

abhi se bhig raha hai hadaf pasine mein
ki tir chhuta nahin hai abhi kaman mein hai

giregi kaun si chhat pe ye kab kise malum
kati patang hawaon ke imtihan mein hai

sukun-e-qalb ko mahlon mein dhundne walo
sukun-e-qalb faqiron ke khandan mein hai

kharidna hai jo tohfa tumhein mohabbat ka
milega dil ke ewaz dard ki dukan mein hai

hayat-o-maut faqat nam ghar badalne ka
samet rakkha hai saman saeban mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close