parinde bhi sabhi mujh par mohabbat yun lutate hain meri khatir zamin par aasman la kar bichhate hain hamari shaeri ko jab bhi wo gul-rang kahti hai hasin lahje se us ke hum to gul-daste banate hain kai zakhmon ke marham zindagi bhar dhundhte hain hum kai zakhmon ko sari umr sine se lagate hain hamesha ek tujh sa bewafa kirdar khulta hai kabhi jab yar jhute ishq ke qisse sunate hain na koi ham-safar apna na koi baam-o-dar apna bitani kis tarah thi zindagi kaise bitate hain