parinde uske liye hain rasul us ka hai

parinde us ke liye hain rasul us ka hai
hamari baat mein har dam shumul us ka hai

alam ko chum ke padhte hain madh-e-rabb-e-ali
ki sab se pahle to ibn-ul-batul us ka hai

ghazal ke jitne wasile hain sare us ke hain
mafaalat hai us ka faul us ka hai

yahan ke rasm-o-riwaj ab nahin mere bas ke
main chal rahi hun lagan se usul us ka hai

hasin wo hai so duniya use hasin kahe
qarib wo hai so qurbat ka phul us ka hai

mera ye haq hai ki main us pe eatibar karun
munafiqat hai ki half-ul-fuzul us ka hai

'saba' chali to ude panchhiyon ke hosh-o-hawas
ki rah-e-bahr mein sahra babul us ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close