parsai un ki jab yaad aaegi mujh se meri aarzu sharmaegi gar yahi hai pas-e-adab-e-sukut kis tarah fariyaad lab tak aaegi ye to mana dekh aaen ku-e-yar phir tamanna aur kuchh farmaegi jaane de sabr o qarar o hosh ko tu kahan ai be-qarari jaegi hijr ki shab gar yahi hai iztirab nind ai 'taslim' kyunkar aaegi