pas rah kar bhi bahut dur hain hum bhi tum bhi kis qadar be-bas-o-majbur hain hum bhi tum bhi aaj bhi andhi surangon mein basar karte hain aur ujalon se bahut dur hain hum bhi tum bhi kaun qatil hai yahan sab ko khabar hai lekin gunge bahre bade majbur hain hum bhi tum bhi jhuk ke milna hamein izzat mein kami lagti hai kitne kam-zarf hain maghrur hain hum bhi tum bhi sans bhi us ki hai ye jism usi ka tabe ai 'zafar' laghar-o-mazur hain hum bhi tum bhi