pathrai hui aankhon ko binai ata kar

pathrai hui aankhon ko binai ata kar
rangon ko mila chehron ko yaktai ata kar

har chashm-e-sadaf qatra-e-naisan ke liye khol
in jhulse hue jismon ko ranai ata kar

sahra ke liye bhej samundar se disha le
in jhulse hue jismon ko ranai ata kar

aahon ki tamazat se sulagte hain dar-o-baam
ab nauha-kunan honton pe shahnai ata kar

taqdir ko tadbir ka aaina dikha de
dam dete hue jazbon ko barnai ata kar

lafzon ke khazane pe hain jo sanp unhen mar
ya sahmi hui ruhon ko goyai ata kar

bas tujh se hon khaif na daren aur kisi se
'naqwi' se qalam-karon ko sachchai ata kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close