paTriyon par koi qabristan banwae gae

patriyon par koi qabristan banwae gae
rail ki khidki mein kitne khwab dafnae gae

timtima kar kuchh sitare yun pukare baat sun
jaanta hai kitne tare bulb se khae gae

jin chhaton par hote the kal tak manazir wasl ke
aaj un par khud-kushi karte jawan pae gae

chashm-e-bina ne jahan mein kya nahin dekha miyan
chalti phirti qabr par bhi phul barsae gae

har kisi ke ghar pe tanki nasab hai pani ki par
qatra qatra aab ko ghar wale tarsae gae

aasman ke kale jangal mein thin jitni wahshaten
dur karne ke liye ye dip jalwae gae

pattharon ka shahr dikhta hai ye dariya hota tha
is qadar patthar hamare dil pe barsae gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close