patthar ki qaba pahne mila jo bhi mila hai har shakhs yahan soch ke sahra mein khada hai ne jam khanakte hain na kafi ke piyale dil shab ki sadaon ka jahan dhund raha hai sadkon pe karo daudte pahiyon ka taaqub umdi hui aakash pe sawan ki ghata hai jate hue ghar tum jo mujhe saunp gae the wo waqt mujhe chhod ke begana hua hai tum pas jo hote to faza aur hi hoti mausam mere pahlu se abhi uth ke gaya hai malbus se chhante hue shadab badan ne tahzib-e-khayalat ko aawara kiya hai