patthar nazar thi waiz-e-khana-kharab ki tuti hai kya tadaq se botal sharab ki kuchh aasman ne khak udai pas-e-fana kuchh tum ne ai buto meri mitti kharab ki pi kar na zabt waiz-e-kam-zarf se hua kya apne sath mai ki bhi mitti kharab ki kanta hun bagh mein to main bijli hun charkh par ye rang-e-laghari hai wo shakl iztirab ki bu-e-sharab aati hai har ek nafas ke sath pahlu mein dil hai ya koi botal sharab ki lail-o-nahaar bhi hain hasinon ke waste din aaftab ka hai to shab mahtab ki mere gunah jo chashm-e-karam mein sama gae aankhen jhuka ke rah gai mizan hisab ki aai jo ruh paikar-e-khaki mein ai 'wasim' ghabra ke bol uthi meri mitti kharab ki