paya-e-khisht-o-khazaf aur guhar se uncha qad yahan be-hunari ka hai hunar se uncha ek din gharq na kar de tujhe ye sail-e-wajud dekh ho jae na pani kahin sar se uncha mangta kis se mujhe sang-e-sar-afraazi de koi darwaza to hota tere dar se uncha ham-qadam hai tapish-e-jaan to pahunch jaunga ek do jast mein diwar-e-shajar se uncha ek bigdi hui tamsil hain sare chehre koi manzar nahin meyar-e-nazar se uncha dhup utri to simatna pada khud mein us ko ek saya ki jo tha apne shajar se uncha bulbula uthne ko uttha to magar bechaara rakh saka khud ko na dariya ke bhanwar se uncha kaisi pasti mein ye duniya ne basaya hai mujhe nazar aata hai har ek ghar mere ghar se uncha wo kahan se ye takhayyul ke ufuq laega aasman ab bhi nahin hai mere sar se uncha khak-e-'shibli' se khamir apna bhi uttha hai 'faza' nam urdu ka hua hai isi ghar se uncha