paya jo tujhe to kho gae hum bedar hue to so gae hum dil mein liye ghair ko gae hum ek aae adam se do gae hum mahshar mein lagi bujhane aae shaikh sidhe tasnim ko gae hum samjhe na wo zakhm-o-dagh-e-dil hai le kar nae phul do gae hum bhar kar dam-e-naza ek dam-e-sard jannat ki hawa mein so gae hum ab dasht-e-nur-o-ishq jo ho us rah mein kante bo gae hum kausar ka tha zikr hauz-e-mai par hum kah ke gire ki lo gae hum allah bachae dukht-e-raz se ye aai ki mast ho gae hum ab kashmakash-e-hisab kaisi kuchh hashr mein aa ke kho gae hum sau kaba-e-din the jalwa-afroz khum-khane mein aaj jo gae hum maikhane mein jab kabhi hum aae dadhi ro kar bhigo gae hum is haj mein wo but bhi sath hoga ye sach hai 'riyaz' to gae hum