paya tere kushton ne jo maidan-e-bayaban

paya tere kushton ne jo maidan-e-bayaban
shan-e-chaman-e-khuld hui shan-e-bayaban

diwana tera mar ke hua zinda-e-jawed
ruh us ki jo nikli to hui jaan-e-bayaban

mujh sa bhi jahan mein koi saudai na hoga
samjha lahad-e-qais ko aiwan-e-bayaban

virana-nashini hai azal se meri jagir
qismat ne diya hai mujhe farman-e-bayaban

wahshat pe meri aahuon ke bahte hain aansu
hairat pe meri rote hain haiwan-e-bayaban

hai aalam-e-hu turbat-e-majnun ka mujawar
sannate ka aalam hai nigahban-e-bayaban

jis roz mere hosh ke ham-rah udenge
dam tod ke mar jaenge murghan-e-bayaban

ek din hi ye mauquf hua khak ka udna
kya kya na kiya qais ne saman-e-bayaban

parwa na thi basti ki na thi yaad watan ki
allah re mad-hoshi-o-nisyan-e-bayaban

rahte hain mere gird pari-zad hazaron
hun aalam-e-wahshat mein sulaiman-e-bayaban

laila pe jo aalam hai to majnun bhi hai khush-ru
wo hur-e-bayaban hai wo ghilman-e-bayaban

is tabqe ki manzur jo ki tum ne tabahi
barbaadi hui dast-o-gareban-e-bayaban

afsos hai is najd ko majnun ne basaya
laila jise kahti hai bayaban-e-bayaban

dil khol ke ji chahta hai khak udaun
phirne ko mila hai mujhe maidan-e-bayaban

jis din se bani hai tere diwane ki turbat
hote hain pari-zad bhi qurban-e-bayaban

sheron ke hila dale hain dil us ke junun ne
majnun hai ki hai rustam-e-dastan-e-bayaban

jis waqt 'sharaf' laila o majnun ne qaza ki
ek ghul hua rukhsat hue mehman-e-bayaban


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close