payami kaamyab aae na aae khuda jaane jawab aae na aae tere ghamzon ko apne kaam se kaam kisi ke dil ko tab aae na aae use sharmaenge zikr-e-adu par ye qismat hai hijab aae na aae tum aao jab sawar-e-tausan-e-naz qayamat ham-rikab aae na aae shumar apni khataon ka bata dun tumhein shayad hisab aae na aae nae khanjar se mujh ko zabh kije phir aisi aab-o-tab aae na aae shab-e-wasl-e-adu teri bala se kisi muztar ko khwab aae na aae piyunga aaj saqi ser ho kar mayassar phir sharab aae na aae ye ja kar puchh aa tu un se darban ki wo khana-kharab aae na aae na dekho 'dagh' ka diwan dekho samajh mein ye kitab aae na aae