pazhmurda dil hai wasl ke arman ko kya hua rota hun main bahaar-e-gulistan ko kya hua kab tak udaun hijr mein daman ki dhajjiyan ai subh tere chaak-gareban ko kya hua bulbul ke chahchahe hain na koi shagufta phul ai baghban bahaar-e-gulistan ko kya hua dil chir kar dikhane ki shai ho to main dikhaun furqat ki raat sadma meri jaan ko kya hua dushman ka sog saf hai chehre se aashkar aaina dekh zulf-e-pareshan ko kya hua bulbul hai chup fasurda chaman lut gai bahaar main ne kiya jo chaak-e-gareban ko kya hua mahw-e-jamal ho gae aaina dekh kar tum kah rahe the nargis-e-hairan ko kya hua main un ko is sawal ka ab kya jawab dun daman ko aastin ko gareban ko kya hua kante hazar dil mein hain kis kis ko roiye phulon ko bulbulon ko gulistan ko kya hua dil tukde ho ke sabr ka daman hua hai chaak kis se kahun ki chaak-gareban ko kya hua uljha hua hai 'shad' ka dil baal kya banen wo kah rahe hain zulf-e-pareshan ko kya hua