peT ki aag mein barbaad jawani kar ke

pet ki aag mein barbaad jawani kar ke
panchhi laute hain abhi naql-e-makani kar ke

khana-e-dil mein ghadi-bhar ko thaharna hai unhen
phir guzar jaenge har baat purani kar ke

ishq izhaar ka talib hai na matlub-e-nazar
faeda kya hai miyan shoala-bayani kar ke

ab wahan khak uda karti hai armanon ki
hum chale aae the manzil pe nishani kar ke

par lag jaega sanson ka safina ek roz
dhadkanon mein teri yaadon se rawani kar ke

chand lamhon ka mera us ka safar tha aisa
raat ho jaise kahin sham suhani kar ke

us ki nazron mein haqiqat hai fasana 'zakir'
chhod jaega mujhe ab wo kahani kar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close