phir dekhte aish aadmi ka

phir dekhte aish aadmi ka
banta jo falak meri khushi ka

gulshan mein tere labon ne goya
ras chus liya kali kali ka

tera bhi to husn hai daghabaz
hota hi nahin koi kisi ka

itni hi to bas kasar hai tum mein
kahna nahin mante kisi ka

hum bazm mein un ki chupke baithe
munh dekhte hain har aadmi ka

tum kucha-e-ghair mein na jaana
us rah mein hai guzar kisi ka

kis kis ne liye hain tere bose
hai lal-e-namak-fishan jo phika

jo dam hai wo hai basa ghanimat
sara sauda hai jite ji ka

aaghaz ko kaun puchhta hai
anjam achchha ho aadmi ka

roken unhen kya ki hai ghanimat
aana-jaana kabhi kabhi ka

kahte hain use zaban-e-urdu
jis mein na ho rang farsi ka

aise se jo 'dagh' ne nibahi
sach hai ki ye kaam tha usi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close