phir ek dusri hijrat nahin zamin nahin ye meri mamlikat-e-dard mujh se chhin nahin nawah-e-yaad ki dil ne musafirat chhodi ki ek shakhs bhi us kunj ka makin nahin ghubar-basta sitaron se bhar chuka aankhen wo qafila, ki kisi subh ka amin nahin main tere hadiya-e-furqat pe kaise nazan hun meri jabin pe tera zakhm tak hasin nahin safar mein hun ki nahin sochta rahta hun 'arsh' zamin zaman nahin aur zaman zamin nahin