phir ek khushi se kiya us ne ham-kanar mujhe wo khinch le gaya dariya-e-gham ke par mujhe charagh-e-rah-e-mohabbat hun taq mein rakhna ghubar-e-qarya-e-nafrat mein mat utar mujhe main us ki yaad mein raaton ko so nahin sakti wo dur rah ke bhi rakhta hai ashk-bar mujhe kati patang si atki hun shakh-e-nazuk par hawa ka hath bhi karta hai tar tar mujhe mita de mujh ko ya rakh le samet kar dil mein tu hijr jaisi aziyyat se mat guzar mujhe tu jaanta hai ki main be-ghari se darti hun nikal dil se na aise tu bar bar mujhe main intizar ke barzakh mein jalti rahti hun hazar waswase rakhte hain be-qarar mujhe main chahti hun use bhulna magar 'fauzi' qasam khuda ki nahin khud pe ikhtiyar mujhe