phir ek nae safar pe chala hun makan se koi pukarta hai mujhe aasman se aawaz de raha hai akela khuda mujhe main us ko sun raha hun hawaon ke kan se kuchh din to be-ghari ka tamasha bhi dekh lun yun bhi hai ji uchat purane makan se donon hi ham-safar the hawaon ke dosh par par main hun chur chur safar ki takan se pairon tale dabi hai wahi ret ki chatan mujh ko hawa ne phenk diya aasman se wo zad pe aa gaya tha nihatta bhi tha magar main ne hi koi tir na chhoda kaman se mere labon pe khel rahi hai wahi hansi har-chand ret ret hua hun chatan se