phir e'tibar-e-ishq ke qabil nahin raha jo dil teri nazar se gira dil nahin raha nashtar chubhoe ab na pashemani-e-nigah mujh ko to shikwa-e-khalish-e-dil nahin raha maujen ubhaar kar mujhe jis samt le chalen hadd-e-nigah tak kahin sahil nahin raha kya kahiye ab maal-e-mohabbat ki sarguzisht yaad us ki rah gai hai magar 'dil' nahin raha