phir is andaz se bahaar aai ki hue mehr-o-mah tamashai dekho ai sakinan-e-khitta-e-khak is ko kahte hain aalam-arai ki zamin ho gai hai sar-ta-sar ru-kash-e-sath-e-charkh-e-minai sabza ko jab kahin jagah na mili ban gaya ru-e-ab par kai sabza o gul ke dekhne ke liye chashm-e-nargis ko di hai binai hai hawa mein sharab ki tasir baada-noshi hai baada-paimai kyun na duniya ko ho khushi 'ghaalib' shah-e-din-dar ne shifa pai