phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein kabhi to ek pal ai dost yun thahar mujh mein jo khud mein jhankun to sannate sansanate hain koi to kar gaya hai raat yun basar mujh mein bhatakta phirta hun sunsan rahguzaron par basa hua hai kisi yaad ka nagar mujh mein ajab nahin kai moti bhi tere hath lagen zara le kaam tu himmat se aur utar mujh mein main teri zat ka saya hun tere andar hun meri talash sar-e-rah-guzar na kar mujh mein